yeh jo deewanay do chaar nazar atay hain
in mein kuch sahib e asrar nazar atay hain

teri mehfil ka bharam rekhtay hain so jatay hain
warna yeh loog tu baidaar nazar atay hain

dur tak na koi sitara hai na jugnoo
marg e umeed kay asaar nazar atay hain

meray daman mein shraroo k siwa kuch b nhi
app tu phoolo kay khareedar nazar atay hain

kal jinko choo nhi sakti thee farishtoo ki nazar
Aaj wo ronq e bazar nazar atay hain

Hashar mein kon gawahii dai ga meri Saghar
sb tumray e Taraf daar nazar atay hain



To know about great poet of Saghar Siddiqui Read his biography