Ashfaq Ahmed Farmtay hain: 

Hamray babay kaha kartay hain kay Duaon kay dairay se kabi na nikla karo. Ager apnay liye dua nhi kar rhay aur app par ALLAH ki bari meherbaniyan hain tu ALLAH se dosron k liye dua kartay reha karain.

babay kehtay hain jo shakh kisi ko dhoka dai reha hota hai haqeeqat mein wo khud ko dhoka dai reha hota hai laikin wo khayal karta hai k wo kisi aur ko dhoka dai rha hai aur jo kisi ki bhalai mang reha hota hai wo haqeeqat mein apni bhalai chah reha hota hai kyun kay dua e khair karnay wala b is duniya se jura hova hai.