teri nazar ka rang bahon ney lay liya
Afsurdagi ka roop taroon nay lay liya
Jin ko bhari bahar mein ghunchay na keh sakay
wo waqiya be meray fasanoo nay lay liya
shayed milay ga qaryaa mehtaab mein sakoon
ehlay fard ko asay ghumanoo nay lay liya
yazwaan se bacha reha tha jahalat ka ek lafaz
usko harm kay shokh beyanoo nay lay liya
teri ada se ho na saka jis ka faida
wo zindagi ka raaz fasaano nay lay liya
afsana e hayaat ki takmeel ho gayee
apnoo nay lay liya kay beganoo nay liya
bhooli nhi wo qoos e qazah ki sii suratain
saghar tumhay to mast dehaiyon ney lay liya
Urdu poetry by Saghar Siddiqui
To know about great poet of Saghar Siddiqui Read his biography